Lehron se darr kar nauka paar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti,
Nanhi cheenti jab dana lekar chalti hai,
Chadti deewaron par se saw baar fisalti hai,
Mann ka vishwaas ragon mein sahas bharta hai,
Chadkar girna,girkar chadna naak ragardta hai,
Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti,
Koshish karne vaalon ki haar nahi hoti!
Dubkiyan samundar mein gotakhor lagata hai,
Ja-ja kar khaali haath laut aata hai,
Milte na sehej se moti paani mein,
Behta duguna utsah isi hairani mein,
Mutthi uski khaali har baar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti!
A-safalta ek chunauti hai swikaar karo,
Kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo,
Kuch kiye bina hi jai-jai kaar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki kabhi haar nahi hoti!!
No comments:
Post a Comment